har ek diwar har ek dar hamara
har ik dīvār har ik dar hamārā
mileñ gar ban nahīñ hai ghar hamārā
raqābat duur se kariyo hamārī
muqarrar sher hai dīgar hamārā
jahāñ par jā ke āmāda paḌho ho
vahāñ par zikr hai din bhar hamārā
shitābī hai nahīñ ham ko suḳhan kī
hameñ andāz hai andar hamārā
nishāñ apnā na pūchho hai kidhar tak
hamārā hai idhar ūdhar hamārā
ġhulāmī tum karo apnā zamāñ hai
hukm nīche se hai uupar hamārā
faqīrī se subukdoshī mile kab
adam se qabl hai mahshar hamārā
'abān'-e-dar-ba-dar ye chāk-jebī
kisū se jal gayā bistar hamārā
har ek diwar har ek dar hamara
milen gar ban nahin hai ghar hamara
raqabat dur se kariyo hamari
muqarrar sher hai digar hamara
jahan par ja ke aamada paDho ho
wahan par zikr hai din bhar hamara
shitabi hai nahin hum ko suKHan ki
hamein andaz hai andar hamara
nishan apna na puchho hai kidhar tak
hamara hai idhar udhar hamara
ghulami tum karo apna zaman hai
hukm niche se hai upar hamara
faqiri se subukdoshi mile kab
adam se qabl hai mahshar hamara
'aban'-e-dar-ba-dar ye chaak-jebi
kisu se jal gaya bistar hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.