har ek fasana zarurat se kuchh ziyaada hai
har ik fasāna zarūrat se kuchh ziyāda hai
ġham-e-zamāna zarūrat se kuchh ziyāda hai
kisī ko ilm nahīñ kaun kitnā pāgal hai
junūñ-divāna zarūrat se kuchh ziyāda hai
zarā sī baat pe vo ham se ruuTh jaatā hai
use manānā zarūrat se kuchh ziyāda hai
jo ham ne sīkhā jo maanā vo kitnā kam niklā
jo ham ne jaanā zarūrat se kuchh ziyāda hai
ham aise shahr meñ haiñ jis meñ mulk baste haiñ
yahāñ ḳhazāna zarūrat se kuchh ziyāda hai
har ek fasana zarurat se kuchh ziyaada hai
gham-e-zamana zarurat se kuchh ziyaada hai
kisi ko ilm nahin kaun kitna pagal hai
junun-diwana zarurat se kuchh ziyaada hai
zara si baat pe wo hum se ruTh jata hai
use manana zarurat se kuchh ziyaada hai
jo hum ne sikha jo mana wo kitna kam nikla
jo hum ne jaana zarurat se kuchh ziyaada hai
hum aise shahr mein hain jis mein mulk baste hain
yahan KHazana zarurat se kuchh ziyaada hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 185)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.