har ek jawab ki tah mein sawal aaega
har ik javāb kī tah meñ savāl aa.egā
ga.e yugoñ ke butoñ kā zavāl aa.egā
hunar kā 'aks bhī ho aa.ina bhī ban jaao
phir us ke baa'd hī rang-e-kamāl aa.egā
harīf-e-jāñ hai agar vo to phir kaho us se
ga.ī jo jaan to dil kā savāl aa.egā
yaqīn hai ki milegā 'urūj ham ko bhī
yaqīn hai ki tirā bhī zavāl aa.egā
abhī umiid ko māyūsiyoñ kā rang na de
Thahar Thahar abhī us kā ḳhayāl aa.egā
usī ke shah pe bujhegā charāġh-e-dil 'ādil'
nihāñ ḳhulūs meñ jo ishti'āl aa.egā
har ek jawab ki tah mein sawal aaega
gae yugon ke buton ka zawal aaega
hunar ka 'aks bhi ho aaina bhi ban jao
phir us ke ba'd hi rang-e-kamal aaega
harif-e-jaan hai agar wo to phir kaho us se
gai jo jaan to dil ka sawal aaega
yaqin hai ki milega 'uruj hum ko bhi
yaqin hai ki tera bhi zawal aaega
abhi umid ko mayusiyon ka rang na de
Thahar Thahar abhi us ka KHayal aaega
usi ke shah pe bujhega charagh-e-dil 'adil'
nihan KHulus mein jo ishti'al aaega
- Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 14)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nirali Duniya Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.