Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek ke tajrbe se muKHtalif hai tajraba mera

Munawwar Lakhnavi

har ek ke tajrbe se muKHtalif hai tajraba mera

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    har ik ke tajrbe se muḳhtalif hai tajraba merā

    na kyuuñ sab se alag ho zindagī par tabsira merā

    nahīñ mā'lūm kitnī martaba marnā paḌā mujh ko

    jiye jaanā mirā har-hāl meñ hai mo'jiza merā

    mirī hastī nahīñ mahdūd hargiz chand lamhoñ tak

    azal se tā-abad jaarī rahegā silsila merā

    ye mujh se mashvara kyuuñ hai mirī qismat ke baare meñ

    tumhārā faisla jo hai vahī hai faisla merā

    'munavvar' pahle apne zauq par tanqīd farmā leñ

    mire ahbāb nāhaq le rahe haiñ jā.eza merā

    har ek ke tajrbe se muKHtalif hai tajraba mera

    na kyun sab se alag ho zindagi par tabsira mera

    nahin ma'lum kitni martaba marna paDa mujh ko

    jiye jaana mera har-haal mein hai mo'jiza mera

    meri hasti nahin mahdud hargiz chand lamhon tak

    azal se ta-abad jari rahega silsila mera

    ye mujh se mashwara kyun hai meri qismat ke bare mein

    tumhaara faisla jo hai wahi hai faisla mera

    'munawwar' pahle apne zauq par tanqid farma len

    mere ahbab nahaq le rahe hain jaeza mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now