har ek ko uski kamai palaT ke aati hai
har ik ko us kī kamā.ī palaT ke aatī hai
bhalā.ī ho ki burā.ī palaT ke aatī hai
jo baat kī thī kisī par vo ab suno bhī sahī
kahā na thā ki ye bhaa.ī palaT ke aatī hai
maiñ us ke aks ko dīvār par lagā.ūñ zarā
dikhā.ūñ kaise ḳhudā.ī palaT ke aatī hai
kisī ko aa.ina jab bhī dikhā.eñ badle meñ
udhar se talḳh-navā.ī palaT ke aatī hai
'saġhīr' dil hai ki ḳhālī makān hai koī
ki aah ban ke duhā.ī palaT ke aatī hai
har ek ko us ki kamai palaT ke aati hai
bhalai ho ki burai palaT ke aati hai
jo baat ki thi kisi par wo ab suno bhi sahi
kaha na tha ki ye bhai palaT ke aati hai
main us ke aks ko diwar par lagaun zara
dikhaun kaise KHudai palaT ke aati hai
kisi ko aaina jab bhi dikhaen badle mein
udhar se talKH-nawai palaT ke aati hai
'saghir' dil hai ki KHali makan hai koi
ki aah ban ke duhai palaT ke aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.