har ek lamha mujhe Thahra hua mahsus hota hai
har ik lamha mujhe Thahrā huā mahsūs hotā hai
mujhe saarā jahāñ ik ratjagā mahsūs hotā hai
sunā.ī kuchh nahīñ detā dikhā.ī kuchh nahīñ detā
magar chāroñ taraf ik jamghaTā mahsūs hotā hai
tirā hī naam letā huuñ to phir mujh ko vajūd apnā
havāoñ par likhā harf-e-duā mahsūs hotā hai
mirī palkoñ pe shabnam gir rahī hai niiñd kī lekin
mujhe har ek saaya jāgtā mahsūs hotā hai
hazāroñ saal pahle kī shanāsā.ī nahīñ bhūlā
mujhe har aadmī dekhā huā mahsūs hotā hai
mujhe apnā hī qad lagtā hai kyuuñ ūñchā pahāḌoñ se
mujhe apnā ye saaya kyuuñ baḌā mahsūs hotā hai
na jaane kaun sī manzil pe aa Thahrā huuñ maiñ 'anjum'
jahāñ har ek sannāTā sadā mahsūs hotā hai
har ek lamha mujhe Thahra hua mahsus hota hai
mujhe sara jahan ek ratjaga mahsus hota hai
sunai kuchh nahin deta dikhai kuchh nahin deta
magar chaaron taraf ek jamghaTa mahsus hota hai
tera hi nam leta hun to phir mujh ko wajud apna
hawaon par likha harf-e-dua mahsus hota hai
meri palkon pe shabnam gir rahi hai nind ki lekin
mujhe har ek saya jagta mahsus hota hai
hazaron sal pahle ki shanasai nahin bhula
mujhe har aadmi dekha hua mahsus hota hai
mujhe apna hi qad lagta hai kyun uncha pahaDon se
mujhe apna ye saya kyun baDa mahsus hota hai
na jaane kaun si manzil pe aa Thahra hun main 'anjum'
jahan har ek sannaTa sada mahsus hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.