har ek manzil har ek sahil har ek tufan se Takrai
har ik manzil har ik sāhil har ik tūfāñ se Takrā.ī
mirī vahshat ġharaz kul ālam-e-imkāñ se Takrā.ī
yakāyak rah ga.ī duniyā-e-armāñ sar-nigūñ ho kar
nigāh-e-be-kasāñ jab bhī ruḳh-e-tābāñ se Takrā.ī
hañsī aa hī ga.ī us dam mujhe jabr-e-mashiyyat par
kabhī jab talḳhī-e-ġhurbat mire vijdāñ se Takrā.ī
yakāyak rah ga.ī duniyā-e-armāñ sar-nigūñ ho kar
nigāh-e-be-kasāñ jab bhī ruḳh-e-tābāñ se Takrā.ī
rahā kotāh-dāmānī kā shikva sar-ba-sar mujh ko
tirī nazar-e-karam jab vus.at-e-armāñ se Takrā.ī
ta.ajjub hī rahā ġham-ḳhvāriyoñ ko saḳht-jānī par
mirī īzā-pasandī jab ġham-e-darmāñ se Takrā.ī
ham us dam ḳhairiyat pūchheñge vaa.iz se ki jab koī
nigāh-e-kufr-sāmāñ ḳhirman-e-īmāñ se Takrā.ī
rahī 'sāhir' hamesha bandagī meñ shān-e-yazdānī
maiñ vo banda huuñ jis kī bandagī yazdāñ se Takrā.ī
har ek manzil har ek sahil har ek tufan se Takrai
meri wahshat gharaz kul aalam-e-imkan se Takrai
yakayak rah gai duniya-e-arman sar-nigun ho kar
nigah-e-be-kasan jab bhi ruKH-e-taban se Takrai
hansi aa hi gai us dam mujhe jabr-e-mashiyyat par
kabhi jab talKHi-e-ghurbat mere wijdan se Takrai
yakayak rah gai duniya-e-arman sar-nigun ho kar
nigah-e-be-kasan jab bhi ruKH-e-taban se Takrai
raha kotah-damani ka shikwa sar-ba-sar mujh ko
teri nazar-e-karam jab wusat-e-arman se Takrai
tajjub hi raha gham-KHwariyon ko saKHt-jaani par
meri iza-pasandi jab gham-e-darman se Takrai
hum us dam KHairiyat puchhenge waiz se ki jab koi
nigah-e-kufr-saman KHirman-e-iman se Takrai
rahi 'sahir' hamesha bandagi mein shan-e-yazdani
main wo banda hun jis ki bandagi yazdan se Takrai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.