har ek mausam ki niyyat jaanti hain
har ik mausam kī niyyat jāntī haiñ
havā ke Dar se shāḳheñ kāñptī haiñ
koī un kā bhī aa kar haath roke
vo yādeñ jo diloñ ko kāTtī haiñ
mujhe hai bad-du'ā shāyad kisī kī
mirī āñkhoñ se nīñdeñ bhāgtī haiñ
badan meñ sarsarātī hai ḳhamoshī
ragoñ meñ vahshateñ sī nāchtī haiñ
'ajab sī kaifiyat hai bebasī kī
maiñ so jā.ūñ to āñkheñ jāgtī haiñ
janāzoñ par janāze uTh rahe haiñ
sabhī maaoñ kī rūheñ kāñptī haiñ
har ek mausam ki niyyat jaanti hain
hawa ke Dar se shaKHen kanpti hain
koi un ka bhi aa kar hath roke
wo yaaden jo dilon ko kaTti hain
mujhe hai bad-du'a shayad kisi ki
meri aankhon se ninden bhagti hain
badan mein sarsaraati hai KHamoshi
ragon mein wahshaten si nachti hain
'ajab si kaifiyat hai bebasi ki
main so jaun to aankhen jagti hain
janazon par janaze uTh rahe hain
sabhi maon ki ruhen kanpti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.