har ek naqsh-e-qadam sham-e-farozan hota jata hai
har ik naqsh-e-qadam sham-e-farozāñ hotā jaatā hai
jahāñ se vo guzarte haiñ charāġhāñ hotā jaatā hai
haiñ sad.hā chaak aisī zindagī bhī zindagī kyā hai
libās-e-zīst āshiq kā garebāñ hotā jaatā hai
na pūchho jāñ-fazā hai kitnā husn-e-yār kā mausam
ki jo manzar bhī hai sub.h-e-bahārāñ hotā jaatā hai
sanam ko bhuul kar dil kyoñ ḳhudā kī samt maa.il hai
ḳhudā jaane ye kāfir kyoñ musalmāñ hotā jaatā hai
mubārak haiñ qadam ahl-e-vafā ke rāh-e-ulfat meñ
ki in qadmoñ se rāhoñ meñ charāġhāñ hotā jaatā hai
sitam ke baad iz.hār-e-nadāmat bhī hai kyā kahiye
sitam bhī kartā jaatā hai pashemāñ hotā jaatā hai
'payām' us ko maiñ apnāne ko jitnā baḌhtā jaatā huuñ
ḳhudā jaane vo kyoñ mujh se gurezāñ hotā jaatā hai
har ek naqsh-e-qadam sham-e-farozan hota jata hai
jahan se wo guzarte hain charaghan hota jata hai
hain sadha chaak aisi zindagi bhi zindagi kya hai
libas-e-zist aashiq ka gareban hota jata hai
na puchho jaan-faza hai kitna husn-e-yar ka mausam
ki jo manzar bhi hai subh-e-bahaaran hota jata hai
sanam ko bhul kar dil kyon KHuda ki samt mail hai
KHuda jaane ye kafir kyon musalman hota jata hai
mubarak hain qadam ahl-e-wafa ke rah-e-ulfat mein
ki in qadmon se rahon mein charaghan hota jata hai
sitam ke baad izhaar-e-nadamat bhi hai kya kahiye
sitam bhi karta jata hai pasheman hota jata hai
'payam' us ko main apnane ko jitna baDhta jata hun
KHuda jaane wo kyon mujh se gurezan hota jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.