har ek nazar ko shuur-e-jamal-e-yar nahin
har ik nazar ko shu.ūr-e-jamāl-e-yār nahīñ
bahār ahl-e-havas ke liye bahār nahīñ
taġhayyurāt kī manzil kā naam hai duniyā
yahāñ ḳhushī kī tarah ġham bhī pā.edār nahīñ
ajiib shai hai mohabbat vo sāmne haiñ magar
nazar ko pyaas bujhāne kā iḳhtiyār nahīñ
kalī ko phuul banātā hai us kā husn-e-qubūl
bahār phuul banāne kī zimma-dār nahīñ
mire liye na pareshāñ hoñ mai-kade vaale
sharāb jaam se piinā mirā shi.ār nahīñ
badal badal ke nigāhoñ ke zāviye tum ne
mujhe vo dard diyā hai jo nāgavār nahīñ
talab ko tark-e-talab meñ samo chukā huuñ maiñ
ab intizār meñ talḳhī-e-intizār nahīñ
mirī nazar meñ vo ma.asūm phuul bhī haiñ 'nihāl'
chaman meñ jin ko tabassum kā iḳhtiyār nahīñ
har ek nazar ko shuur-e-jamal-e-yar nahin
bahaar ahl-e-hawas ke liye bahaar nahin
taghayyuraat ki manzil ka nam hai duniya
yahan KHushi ki tarah gham bhi paedar nahin
ajib shai hai mohabbat wo samne hain magar
nazar ko pyas bujhane ka iKHtiyar nahin
kali ko phul banata hai us ka husn-e-qubul
bahaar phul banane ki zimma-dar nahin
mere liye na pareshan hon mai-kade wale
sharab jam se pina mera shiar nahin
badal badal ke nigahon ke zawiye tum ne
mujhe wo dard diya hai jo nagawar nahin
talab ko tark-e-talab mein samo chuka hun main
ab intizar mein talKHi-e-intizar nahin
meri nazar mein wo masum phul bhi hain 'nihaal'
chaman mein jin ko tabassum ka iKHtiyar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.