har ek qadam pe matam-e-mehr-o-wafa hua
har ik qadam pe mātam-e-mehr-o-vafā huā
aksar ye sochtā huuñ zamāne ko kyā huā
vo sāmne nahīñ haiñ magar dam-ba-ḳhud huuñ maiñ
kyā baat kar sakūñgā agar sāmnā huā
māyūsiyāñ hujūm-e-tamannā tumhārī yaad
ik dil hai vo bhī kitne ġhamoñ se bharā huā
rāh-e-junūñ meñ aisā bhī ik moḌ thā jahāñ
ḳhud merā naqsh-e-pā hī mirā rahnumā huā
kaliyoñ meñ kahkashāñ meñ sitāroñ meñ phuul meñ
jā.ūñ kahāñ kahāñ maiñ tumheñ DhūñDhtā huā
achchhā kalām achchhā tarannum hasīñ ḳhayāl
sab kuchh hai mere paas ḳhudā kā diyā huā
'bismil' mirī misāl kuchh is ke sivā nahīñ
āñdhī meñ jaise ek diyā ho jalā huā
har ek qadam pe matam-e-mehr-o-wafa hua
aksar ye sochta hun zamane ko kya hua
wo samne nahin hain magar dam-ba-KHud hun main
kya baat kar sakunga agar samna hua
mayusiyan hujum-e-tamanna tumhaari yaad
ek dil hai wo bhi kitne ghamon se bhara hua
rah-e-junun mein aisa bhi ek moD tha jahan
KHud mera naqsh-e-pa hi mera rahnuma hua
kaliyon mein kahkashan mein sitaron mein phul mein
jaun kahan kahan main tumhein DhunDhta hua
achchha kalam achchha tarannum hasin KHayal
sab kuchh hai mere pas KHuda ka diya hua
'bismil' meri misal kuchh is ke siwa nahin
aandhi mein jaise ek diya ho jala hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.