har ek qadam pe Thokaron ka hausla bhi chahiye

har ek qadam pe Thokaron ka hausla bhi chahiye
Kamal Ahmad Siddiqi
MORE BYKamal Ahmad Siddiqi
har ik qadam pe Thokaroñ kā hausla bhī chāhiye
masarratoñ ko talḳhiyoñ kā aa.ina bhī chāhiye
ḳhalāoñ meñ bhaTak ke kaun pā sakā hai zindagī
ḳhudī kī parvarish ke vāste fazā bhī chāhiye
abhī ḳhudī to kamtarī kā kāsa-e-gadā.ī hai
fareb-e-zauq-e-ārzū kī intihā bhī chāhiye
khanak rahī haiñ sāġharoñ meñ muztarib haqīqateñ
haqīqatoñ kī dilkashī kā tajziyā bhī chāhiye
ḳhayāl-āfrīniyoñ kā naam to nahīñ hayāt
tasalliyoñ ko ḳhāk-o-ḳhūñ kā rāsta bhī chāhiye
abhī the lab pe sarḳhushī ke giit ab ye hichkiyāñ
mu'āf kar shikast-e-sāz ko sadā bhī chāhiye
huuñ nang-e-mai-kada bahār-e-mai-kada ko ai 'kamāl'
mirī hī tishnagī kā lekin aasrā bhī chāhiye
har ek qadam pe Thokaron ka hausla bhi chahiye
masarraton ko talKHiyon ka aaina bhi chahiye
KHalaon mein bhaTak ke kaun pa saka hai zindagi
KHudi ki parwarish ke waste faza bhi chahiye
abhi KHudi to kamtari ka kasa-e-gadai hai
fareb-e-zauq-e-arzu ki intiha bhi chahiye
khanak rahi hain sagharon mein muztarib haqiqaten
haqiqaton ki dilkashi ka tajziya bhi chahiye
KHayal-afriniyon ka nam to nahin hayat
tasalliyon ko KHak-o-KHun ka rasta bhi chahiye
abhi the lab pe sarKHushi ke git ab ye hichkiyan
mu'af kar shikast-e-saz ko sada bhi chahiye
hun nang-e-mai-kada bahaar-e-mai-kada ko ai 'kamal'
meri hi tishnagi ka lekin aasra bhi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.