har ek qadam pe zaKHm nae khae kis tarah
har ik qadam pe zaḳhm na.e khaa.e kis tarah
rindoñ kī anjuman meñ koī jaa.e kis tarah
sahrā kī vus'atoñ meñ rahā 'umr bhar jo gum
sahrā kī vahshatoñ se vo ghabrā.e kis tarah
jis ne bhī tujh ko chāhā diyā us ko tū ne ġham
duniyā tire fareb koī khaa.e kis tarah
zindāñ pe tīrgī ke haiñ pahre lage hue
pur-haul ḳhvāb-gāh meñ niiñd aa.e kis tarah
zanjīr-e-pā kaTī to javānī guzar ga.ī
hoñToñ pe terā nām-e-'sabā' laa.e kis tarah
har ek qadam pe zaKHm nae khae kis tarah
rindon ki anjuman mein koi jae kis tarah
sahra ki wus'aton mein raha 'umr bhar jo gum
sahra ki wahshaton se wo ghabrae kis tarah
jis ne bhi tujh ko chaha diya us ko tu ne gham
duniya tere fareb koi khae kis tarah
zindan pe tirgi ke hain pahre lage hue
pur-haul KHwab-gah mein nind aae kis tarah
zanjir-e-pa kaTi to jawani guzar gai
honTon pe tera nam-e-'saba' lae kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.