aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla

Faza Ibn e Faizi

har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    har ik qayās haqīqat se dūr-tar niklā

    kitāb na koī dars mo'tabar niklā

    nafas tamām huā dāstān ḳhatm huī

    jo thā tavīl vahī harf muḳhtasar niklā

    jo gard saath na uḌtī safar na yuuñ kaTtā

    ġhubār-e-rāhguzar mauj-e-bāl-o-par niklā

    mujhe bhī kuchh na.e teshe sambhālne paḌe

    purāne ḳhol ko jab vo bhī toḌ kar niklā

    fazā kushāda nahīñ qatl-gāh ye kahāñ

    mire lahū parinda uḌaan par niklā

    vo aadmī ki jo mahmil thā āftāboñ

    ba-qadr-e-yak-do kaf-e-ḳhāk-e-rahguzar niklā

    ye raat jis ke liye maiñ ne jaag kar kaaTī

    milā vo shaḳhs to ḳhvāboñ ham-safar niklā

    uḌhā chādar-e-ismat ise ḳhayāloñ ne

    har ek lafz zabāñ se barahna-sar niklā

    'fazā' tum uljhe rahe fikr o falsafe meñ yahāñ

    ba-nām-e-ishq vahāñ qur.a-e-hunar niklā

    har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla

    kitab ka na koi dars mo'tabar nikla

    nafas tamam hua dastan KHatm hui

    jo tha tawil wahi harf muKHtasar nikla

    jo gard sath na uDti safar na yun kaTta

    ghubar-e-rahguzar mauj-e-baal-o-par nikla

    mujhe bhi kuchh nae teshe sambhaalne hi paDe

    purane KHol ko jab wo bhi toD kar nikla

    faza kushada nahin qatl-gah ki ye kahan

    mere lahu ka parinda uDan par nikla

    wo aadmi ki jo mahmil tha aaftabon ka

    ba-qadr-e-yak-do kaf-e-KHak-e-rahguzar nikla

    ye raat jis ke liye main ne jag kar kaTi

    mila wo shaKHs to KHwabon ka ham-safar nikla

    uDha di chadar-e-ismat ise KHayalon ne

    har ek lafz zaban se barahna-sar nikla

    'faza' tum uljhe rahe fikr o falsafe mein yahan

    ba-nam-e-ishq wahan qura-e-hunar nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now