har ek ranj-o-gham se subuk-dosh ho ja
har ik ranj-o-ġham se subuk-dosh ho jā
use yaad kar aur mad.hosh ho jā
nazar us kī chāhe to nazreñ jhukā le
hai kuchh arz karnā to ḳhāmosh ho jā
sukūñ ke liye be-sukūñ dil ko mat kar
pareshāniyoñ se ham-āġhosh ho jā
nikal pārsā.ī ke ḳhatroñ se bāhar
tū mai-nosh hai to balā-nosh ho jā
hai tash.hīr kā sab se achchhā ye nusḳha
achānak kisī roz rū-posh ho jā
har ek ranj-o-gham se subuk-dosh ho ja
use yaad kar aur madhosh ho ja
nazar us ki chahe to nazren jhuka le
hai kuchh arz karna to KHamosh ho ja
sukun ke liye be-sukun dil ko mat kar
pareshaniyon se ham-aghosh ho ja
nikal parsai ke KHatron se bahar
tu mai-nosh hai to bala-nosh ho ja
hai tashhir ka sab se achchha ye nusKHa
achanak kisi roz ru-posh ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.