har ek rishta kahani ho chala hai
har ik rishta kahānī ho chalā hai
hamārā ḳhuun paanī ho chalā hai
haqīqat ḳhauf kī sūrat hai dil meñ
ab insāñ dāstānī ho chalā hai
fazā meñ gūñjtī hai shab kī aahaT
ufuq bhī zāfrānī ho chalā hai
pare rakkho ye māh-o-sāl kā ġham
shu’ūr ab lā-makānī ho chalā hai
zarā sūraj jhukā hī thā zamīñ par
tapish se barf paanī ho chalā hai
'zafar' donoñ taraf ke log ḳhush haiñ
vo shāyad darmiyānī ho chalā hai
har ek rishta kahani ho chala hai
hamara KHun pani ho chala hai
haqiqat KHauf ki surat hai dil mein
ab insan dastani ho chala hai
faza mein gunjti hai shab ki aahaT
ufuq bhi zafrani ho chala hai
pare rakkho ye mah-o-sal ka gham
shu’ur ab la-makani ho chala hai
zara suraj jhuka hi tha zamin par
tapish se barf pani ho chala hai
'zafar' donon taraf ke log KHush hain
wo shayad darmiyani ho chala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.