har ek sans se sine mein ghaw lagta hai
har ek saañs se siine meñ ghaav lagtā hai
fazā meñ aaj bhī kal sā tanāv lagtā hai
ye Thiik hai ye samundar hai pur-sukūñ sā magar
nahīñ udhar kā jidhar kā bahāv lagtā hai
muvāfaqat hī binā ahliyat kī ho jis meñ
mujhe to Dhoñg vo saarā chunāv lagtā hai
maiñ jis sahar ke taqāze se jaag uThā us kā
kuchh ab bhī shab ke safar meñ paḌāv lagtā hai
ye bārishoñ kī nahīñ rut agar to kyoñ 'āsim'
havā meñ aisā namī kā dabāv lagtā hai
har ek sans se sine mein ghaw lagta hai
faza mein aaj bhi kal sa tanaw lagta hai
ye Thik hai ye samundar hai pur-sukun sa magar
nahin udhar ka jidhar ka bahaw lagta hai
muwafaqat hi bina ahliyat ki ho jis mein
mujhe to Dhong wo sara chunaw lagta hai
main jis sahar ke taqaze se jag uTha us ka
kuchh ab bhi shab ke safar mein paDaw lagta hai
ye barishon ki nahin rut agar to kyon 'asim'
hawa mein aisa nami ka dabaw lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.