har ek se hum kinara chahte hain
har ik se ham kināra chāhte haiñ
ta'alluq bas tumhārā chāhte haiñ
jo ik chehra mire pesh-e-nazar hai
use dil meñ utārā chāhte haiñ
kaho to chāñd ko muTThī meñ le leñ
tirā nāzuk ishāra chāhte haiñ
mileñ un se ki milnā chhoḌ deñ ham
mukammal istiḳhāra chāhte haiñ
ham apnī āñkheñ kaise band kar leñ
musalsal ik nazāra chāhte haiñ
samundar meñ vo bhaTkeñge kahāñ tak
safīne to kināra chāhte haiñ
vo jis ne tan-badan meñ aag bhar dī
vahī raushan sitāra chāhte haiñ
nahīñ ham chāhte haiñ tar nivāle
qanā'at se guzāra chāhte haiñ
javānī kī jahāñ tak saltanat hai
vahāñ apnā ijāra chāhte haiñ
ye ā.īna to hai dushman hamārā
nayā ik ruup dhārā chāhte haiñ
miTāyā jis ne hai 'fārūq' ham ko
usī kā ham sahārā chāhte haiñ
har ek se hum kinara chahte hain
ta'alluq bas tumhaara chahte hain
jo ek chehra mere pesh-e-nazar hai
use dil mein utara chahte hain
kaho to chand ko muTThi mein le len
tera nazuk ishaara chahte hain
milen un se ki milna chhoD den hum
mukammal istiKHara chahte hain
hum apni aankhen kaise band kar len
musalsal ek nazara chahte hain
samundar mein wo bhaTkenge kahan tak
safine to kinara chahte hain
wo jis ne tan-badan mein aag bhar di
wahi raushan sitara chahte hain
nahin hum chahte hain tar niwale
qana'at se guzara chahte hain
jawani ki jahan tak saltanat hai
wahan apna ijara chahte hain
ye aaina to hai dushman hamara
naya ek rup dhaara chahte hain
miTaya jis ne hai 'faruq' hum ko
usi ka hum sahaara chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.