har ek shajar pe parinde simaT ke baiThe hain
har ik shajar pe parinde simaT ke baiThe haiñ
havā-e-sard ke jhoñke bahut nukīle haiñ
kahāñ sañbhaltā hai jaldī kisī kī maut se dil
haañ Thīk-Thāk haiñ pahle se thoḌe achchhe haiñ
dhuāñ dhuāñ sī hai fihrist-e-raftagāñ lekin
do ek chehre haiñ vaise hī jagmagāte haiñ
tujhe ḳhabar bhī hai ai dost tere marham se
kuchh ek zaḳhm jo andar na.e se bante haiñ
qadam qadam pe na.e moḌ muḌne vaale log
na jaane kyoñ mujhe ab Thiik jaan paḌte haiñ
judā hue to bahut din guzar ga.e lekin
havā-e-tāza ke jhoñkoñ se ab bhī Darte haiñ
kabhī to ḳhuub sisakte haiñ be-tarah aur phir
ḳhayāl-e-marg se yak-dam chahakne lagte haiñ
har ek shajar pe parinde simaT ke baiThe hain
hawa-e-sard ke jhonke bahut nukile hain
kahan sanbhalta hai jaldi kisi ki maut se dil
han Thik-Thak hain pahle se thoDe achchhe hain
dhuan dhuan si hai fihrist-e-raftagan lekin
do ek chehre hain waise hi jagmagate hain
tujhe KHabar bhi hai ai dost tere marham se
kuchh ek zaKHm jo andar nae se bante hain
qadam qadam pe nae moD muDne wale log
na jaane kyon mujhe ab Thik jaan paDte hain
juda hue to bahut din guzar gae lekin
hawa-e-taza ke jhonkon se ab bhi Darte hain
kabhi to KHub sisakte hain be-tarah aur phir
KHayal-e-marg se yak-dam chahakne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.