har ek Tahni pe gul murjha hua hai
har ik Tahnī pe gul murjhā huā hai
bhare ghar meñ koī tanhā huā hai
vajūd us kā zamāna māntā hai
ki dariyā jab talak bahtā huā hai
mujhe ḳhairāt meñ lauTā rahe ho
mire purkhoñ se jo chhīnā huā hai
hameñ mīloñ liye chaltā hai tāham
ba-zāhir rāsta Thahrā huā hai
mire maulā sameTe kaun kis ko
yahāñ har aadmī bikhrā huā hai
har ek Tahni pe gul murjha hua hai
bhare ghar mein koi tanha hua hai
wajud us ka zamana manta hai
ki dariya jab talak bahta hua hai
mujhe KHairaat mein lauTa rahe ho
mere purkhon se jo chhina hua hai
hamein milon liye chalta hai taham
ba-zahir rasta Thahra hua hai
mere maula sameTe kaun kis ko
yahan har aadmi bikhra hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.