har ek taklif samjhi hai tumhaari
har ik taklīf samjhī hai tumhārī
phir is ke ba.ad marzī hai tumhārī
nahīñ sābit hue kāfir kabhī ham
parastish is tarah kī hai tumhārī
hamāre ba.ad jānāñ sach batāo
kisī ne kyā ḳhabar lī hai tumhārī
ḳhazāna umr bhar ḳhālī na hogā
abhī ik yaad bechī hai tumhārī
mirī āñkheñ na paḌh paa.e kabhī tum
amaañ degrē hī farzī hai tumhārī
har ek taklif samjhi hai tumhaari
phir is ke baad marzi hai tumhaari
nahin sabit hue kafir kabhi hum
parastish is tarah ki hai tumhaari
hamare baad jaanan sach batao
kisi ne kya KHabar li hai tumhaari
KHazana umr bhar KHali na hoga
abhi ek yaad bechi hai tumhaari
meri aankhen na paDh pae kabhi tum
aman degree hi farzi hai tumhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.