har ek yaqin ko humne guman bana diya hai
har ik yaqīn ko ham ne gumāñ banā diyā hai
the jis zamīñ pe use āsmāñ banā diyā hai
ham aise ḳhāna-ḳharāboñ se aur kyā bantā
kisī se silsila-e-rabt-e-jāñ banā diyā hai
hamāre sher hamāre ḳhayāl kuchh yuuñ haiñ
ḳhalā meñ jaise kisī ne makāñ banā diyā hai
mohabbatoñ ke amīnoñ kī haiñ vo āvāzeñ
ki jin ko ḳhalq ne shor-e-sagāñ banā diyā hai
zamīñ to puurī tarah ham bhī dekh sakte haiñ
falak ko is ne magar be-karāñ banā diyā hai
har ek yaqin ko hum ne guman bana diya hai
the jis zamin pe use aasman bana diya hai
hum aise KHana-KHarabon se aur kya banta
kisi se silsila-e-rabt-e-jaan bana diya hai
hamare sher hamare KHayal kuchh yun hain
KHala mein jaise kisi ne makan bana diya hai
mohabbaton ke aminon ki hain wo aawazen
ki jin ko KHalq ne shor-e-sagan bana diya hai
zamin to puri tarah hum bhi dekh sakte hain
falak ko is ne magar be-karan bana diya hai
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 418)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.