har imtihan un ka sabr-azma hai kitna
har imtihan un ka sabr-azma hai kitna
Khateeb Rafatullah Rafat
MORE BYKhateeb Rafatullah Rafat
har imtihān un kā sabr-āzmā hai kitnā
adnā sī baat par bhī fitna machā hai kitnā
pal-bhar kā ik tasādum tū aur maiñ kā qissa
patthar ke saath shīshe kā rābta hai kitnā
tahzīb-e-nau kī vahshī advār meñ kashish hai
pārīna vāqi.oñ kā pahlū nayā hai kitnā
nashtar-zanī meñ nīsh-e-kazhdum kī hī adā hai
jāñ-levā ek harba ab jāñ-fazā hai kitnā
kuchh ho sakā na 'rif.at' thoḌī sī zindagī meñ
azm-e-safar ke aage ye rāsta hai kitnā
har imtihan un ka sabr-azma hai kitna
adna si baat par bhi fitna macha hai kitna
pal-bhar ka ek tasadum tu aur main ka qissa
patthar ke sath shishe ka rabta hai kitna
tahzib-e-nau ki wahshi adwar mein kashish hai
parina waqion ka pahlu naya hai kitna
nashtar-zani mein nish-e-kazhdum ki hi ada hai
jaan-lewa ek harba ab jaan-faza hai kitna
kuchh ho saka na 'rifat' thoDi si zindagi mein
azm-e-safar ke aage ye rasta hai kitna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.