har irada sina-e-shamshir mein Duba hua
har irāda sīna-e-shamshīr meñ Duubā huā
haal hai kis nashsha-e-tasḳhīr meñ Duubā huā
aañkh to ab tak tilism-e-ḳhāl-o-ḳhad kī hai asiir
dil nikaltā hī nahīñ tasvīr meñ Duubā huā
harf to saare ke saare be-sadā mujh ko lage
ḳhat agarche thā bahut tahrīr meñ Duubā huā
bām-e-dar ke TūTne meñ hī kahīñ maujūd hai
ek imkāñ ḳhvāhish-e-ta.amīr meñ Duubā huā
vo achānak sāmne aayā to mujh ko yuuñ lagā
ḳhvāb thā jaise koī ta.abīr meñ Duubā huā
khīñch lā.eñge use 'jāved'-ahmad ek din
adl hai kis halqa-e-zanjīr meñ Duubā huā
har irada sina-e-shamshir mein Duba hua
haal hai kis nashsha-e-tasKHir mein Duba hua
aankh to ab tak tilism-e-KHal-o-KHad ki hai asir
dil nikalta hi nahin taswir mein Duba hua
harf to sare ke sare be-sada mujh ko lage
KHat agarche tha bahut tahrir mein Duba hua
baam-e-dar ke TuTne mein hi kahin maujud hai
ek imkan KHwahish-e-tamir mein Duba hua
wo achanak samne aaya to mujh ko yun laga
KHwab tha jaise koi tabir mein Duba hua
khinch laenge use 'jawed'-ahmad ek din
adl hai kis halqa-e-zanjir mein Duba hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.