har ishq riwayat ki to jagir nahin hai
har ishq rivāyat kī to jāgīr nahīñ hai
rāñjhā maiñ nahīñ lagtā huuñ vo hiir nahīñ hai
lab kaise haiñ ab faisla guftār se hogā
maiñ madd-e-muqābil huuñ koī 'mīr' nahīñ hai
āġhosh-e-mohabbat se na ghabrāo hamāre
chādar hai ise oḌh lo zanjīr nahīñ hai
bas dekhnā maqsad ho to tasvīr lagegī
mahsūs kiyā jaa.e to tasvīr nahīñ hai
chāhe jo likhe shauq se dhaḌkan kī ibārat
sau shukr mire hāthoñ kī tahrīr nahīñ hai
tum bhī to na.e ḳhvāb kā tohfa liye aa.iiñ
ya.anī mirī taqdīr meñ ta.abīr nahīñ hai
har ishq riwayat ki to jagir nahin hai
ranjha main nahin lagta hun wo hir nahin hai
lab kaise hain ab faisla guftar se hoga
main madd-e-muqabil hun koi 'mir' nahin hai
aaghosh-e-mohabbat se na ghabrao hamare
chadar hai ise oDh lo zanjir nahin hai
bas dekhna maqsad ho to taswir lagegi
mahsus kiya jae to taswir nahin hai
chahe jo likhe shauq se dhaDkan ki ibarat
sau shukr mere hathon ki tahrir nahin hai
tum bhi to nae KHwab ka tohfa liye aain
yani meri taqdir mein tabir nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.