har jagah aapne mumtaz banaya hai mujhe
har jagah aap ne mumtāz banāyā hai mujhe
vāqa'ī qābil-e-ezāz banāyā hai mujhe
jis pe mar miTne kī har ek qasam khātā hai
vahī shoḳhī vahī andāz banāyā hai mujhe
vāqa'ī vāqif-e-idrāk-e-do-ālam tum ho
tum ne hī vāqif-e-har-rāz banāyā hai mujhe
jis fasāne kā abhī tak koī anjām nahīñ
us fasāne kā hī āġhāz banāyā hai mujhe
kabhī naġhma huuñ kabhī dhun huuñ kabhī lai huuñ 'azīz'
aap ne kitnā hasīñ saaz banāyā hai mujhe
har jagah aap ne mumtaz banaya hai mujhe
waqa'i qabil-e-ezaz banaya hai mujhe
jis pe mar miTne ki har ek qasam khata hai
wahi shoKHi wahi andaz banaya hai mujhe
waqa'i waqif-e-idrak-e-do-alam tum ho
tum ne hi waqif-e-har-raaz banaya hai mujhe
jis fasane ka abhi tak koi anjam nahin
us fasane ka hi aaghaz banaya hai mujhe
kabhi naghma hun kabhi dhun hun kabhi lai hun 'aziz'
aap ne kitna hasin saz banaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.