Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har jagah har waqt goya ek kami tere baghair

Iram Lakhnavi

har jagah har waqt goya ek kami tere baghair

Iram Lakhnavi

MORE BYIram Lakhnavi

    har jagah har vaqt goyā ik kamī tere baġhair

    kyā huī jaatī hai merī zindagī tere baġhair

    maut ġham hai na jiine ḳhushī tere baġhair

    zindagī hai ehtijāj-e-zindagī tere baġhair

    aah niklī hoñT kāñpe ashk āñkhoñ meñ bhar aa.e

    muskurāne agar koshish bhī tere baġhair

    ai hama husn-o-nazākat ai mujassam rang-o-bū

    dil-girafta hai chaman meñ har kalī tere baġhair

    dekhte dekhte fitrat meñ aayā inqalāb

    ik numāyāñ tīrgī hai raushnī tere baġhair

    ab vahāñ maiñ huuñ jahāñ ye bhī samajh saktā nahīñ

    kis tarah aatī hai duniyā meñ hañsī tere baġhair

    hai amānat-dār-e-ḳhāmoshī mire muñh meñ zabān

    hā.e-re ḳhud-iḳhtiyārī bebasī tere baġhair

    'ishq se takmīl-e-husn aur husn se takmīl-e-‘ishq

    ik kamī mere baġhair aur ik kamī tere baġhair

    sar ho sajde meñ to dil meñ kaun ho tere sivā

    ai ma’āz-allāh terī bandagī tere baġhair

    ek taara Tuut kar tārīkiyoñ meñ kho gayā

    raat 'iram' ne is tarah ek aah tere baġhair

    har jagah har waqt goya ek kami tere baghair

    kya hui jati hai meri zindagi tere baghair

    maut ka gham hai na jine ki KHushi tere baghair

    zindagi hai ehtijaj-e-zindagi tere baghair

    aah nikli honT kanpe ashk aankhon mein bhar aae

    muskurane ki agar koshish bhi ki tere baghair

    ai hama husn-o-nazakat ai mujassam rang-o-bu

    dil-girafta hai chaman mein har kali tere baghair

    dekhte hi dekhte fitrat mein aaya inqalab

    ek numayan tirgi hai raushni tere baghair

    ab wahan main hun jahan ye bhi samajh sakta nahin

    kis tarah aati hai duniya mein hansi tere baghair

    hai amanat-dar-e-KHamoshi mere munh mein zaban

    hae-re KHud-iKHtiyari bebasi tere baghair

    'ishq se takmil-e-husn aur husn se takmil-e-‘ishq

    ek kami mere baghair aur ek kami tere baghair

    sar ho sajde mein to dil mein kaun ho tere siwa

    ai ma’az-allah teri bandagi tere baghair

    ek tara Tut kar tarikiyon mein kho gaya

    raat 'iram' ne is tarah ek aah ki tere baghair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now