har jagah is tarah hua hun main
har jagah is tarah huā huuñ maiñ
jaise koī miyāñ ḳhudā huuñ maiñ
gar tū bhī jāntī nahīñ mujh ko
tū batā kis se pūchhūñ kyā huuñ maiñ
is ko to ḳhud-kushī na samjho tum
jiine ke vāste marā huuñ maiñ
vo mujhe bevafā samajhtā thā
is liye bevafā huā huuñ meñ
hijr kā faisla ho tum jānāñ
vasl kī ek iltijā huuñ maiñ
ḳhud hī ḳhud ko dilāse detā huuñ
aap hī apnā aasrā huuñ maiñ
tū nazar aayā hai mujhe ḳhud meñ
ya.anī ḳhud se nikal gayā huuñ maiñ
har jagah is tarah hua hun main
jaise koi miyan KHuda hun main
gar tu bhi jaanti nahin mujh ko
tu bata kis se puchhun kya hun main
is ko to KHud-kushi na samjho tum
jine ke waste mara hun main
wo mujhe bewafa samajhta tha
is liye bewafa hua hun mein
hijr ka faisla ho tum jaanan
wasl ki ek iltija hun main
KHud hi KHud ko dilase deta hun
aap hi apna aasra hun main
tu nazar aaya hai mujhe KHud mein
yani KHud se nikal gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.