har jazr-o-mad se dast-o-baghal uThte hain KHarosh
har jazr-o-mad se dast-o-baġhal uThte haiñ ḳharosh
kis kā hai raaz bahr meñ yārab ki ye haiñ josh
abrū-e-kaj hai mauj koī chashm hai habāb
motī kisī kī baat hai siipī kisī kā gosh
un muġhbachoñ ke kūche hī se maiñ kyā salām
kyā mujh ko tauf-e-ka.aba se meñ rind-e-dard-nosh
hairat se hove partav-e-mah nuur ā.īna
tū chāñdnī meñ nikle agar ho safed-posh
kal ham ne sair-e-bāġh meñ dil haath se diyā
ik saada gul-farosh kā aa kar sabad ba-dosh
jaatā rahā nigāh se juuñ mausam-e-bahār
aaj us baġhair dāġh-e-jigar haiñ siyāh-posh
shab is dil-e-girafta ko vā kar ba-zor-e-mai
baiThe the shīra-ḳhāne meñ ham kitne harzā-kosh
aa.ī sadā ki yaad karo duur rafta ko
'ibrat bhī hai zarūr Tak ai jam' tez hosh
jamshed jis ne vaz' kiyā jaam kyā huā
ve nasīhateñ kahāñ ga.iiñ kīdhar ve nāv-nosh
juz laala us ke jaam se paate nahīñ nishāñ
hai kokanār us kī jagah ab subū ba-dosh
jhūme hai bed jā-e-javānān mai-gusār
bālā-e-ḳham hai ḳhisht sar pair mai-farosh
'mīr' is ġhazal ko ḳhuub kahā thā zamīr ne
par ai zabāñ-darāz bahut ho chukī ḳhamosh
har jazr-o-mad se dast-o-baghal uThte hain KHarosh
kis ka hai raaz bahr mein yarab ki ye hain josh
abru-e-kaj hai mauj koi chashm hai habab
moti kisi ki baat hai sipi kisi ka gosh
un mughbachon ke kuche hi se main kya salam
kya mujh ko tauf-e-kaba se mein rind-e-dard-nosh
hairat se howe partaw-e-mah nur aaina
tu chandni mein nikle agar ho safed-posh
kal hum ne sair-e-bagh mein dil hath se diya
ek sada gul-farosh ka aa kar sabad ba-dosh
jata raha nigah se jun mausam-e-bahaar
aaj us baghair dagh-e-jigar hain siyah-posh
shab is dil-e-girafta ko wa kar ba-zor-e-mai
baiThe the shira-KHane mein hum kitne harza-kosh
aai sada ki yaad karo dur rafta ko
'ibrat bhi hai zarur Tak ai jam' tez hosh
jamshed jis ne waz' kiya jam kya hua
we nasihaten kahan gain kidhar we naw-nosh
juz lala us ke jam se pate nahin nishan
hai kokanar us ki jagah ab subu ba-dosh
jhume hai bed ja-e-jawanan mai-gusar
baala-e-KHam hai KHisht sar pair mai-farosh
'mir' is ghazal ko KHub kaha tha zamir ne
par ai zaban-daraaz bahut ho chuki KHamosh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0239
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.