har kamand-e-hawas se bahar hai
har kamand-e-havas se bāhar hai
tā.ir-e-jāñ qafas se bāhar hai
maut kā ek din muayyan hai
zindagī dastaras se bāhar hai
qāfile meñ ham us maqām pe haiñ
jo sadā-e-jaras se bāhar hai
koī shai ghar kī ḳhush nahīñ aatī
vo baras do baras se bāhar hai
har kamand-e-hawas se bahar hai
tair-e-jaan qafas se bahar hai
maut ka ek din muayyan hai
zindagi dastaras se bahar hai
qafile mein hum us maqam pe hain
jo sada-e-jaras se bahar hai
koi shai ghar ki KHush nahin aati
wo baras do baras se bahar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.