har kasi ko kab bhala yun mustarad karta hun main
har kasī ko kab bhalā yuuñ mustarad kartā huuñ maiñ
tū hai ḳhush-qismat agar tujh se hasad kartā huuñ maiñ
buġhz bhī siine meñ rakhtā huuñ amānat kī tarah
nafrateñ karne pe aa jā.ūñ to had kartā huuñ maiñ
koī apne-āp ko manvāne vaalā bhī to ho
mānñe meñ kab kasī ke radd-o-kad kartā huuñ maiñ
kuchh shu.ūrī satah par kuchh lā-shu'ūrī taur par
kār-e-fikr-o-fan meñ ab sab kī madad kartā huuñ maiñ
is liye mujh se ḳhafā haiñ ahl-e-gulshan āj-kal
rañg jhuTlātā huuñ ḳhushbū mustarad kartā huuñ maiñ
mere jazboñ se bachāo nek-dil logo mujhe
roz o shab in bad-ma.āshoñ kī madad kartā huuñ maiñ
dūsroñ ke vāste likkhā huā lagtā hai jhuuT
apnī sachchā.ī ko aksar aap rad kartā huuñ maiñ
rañg par aa.ī huī hai ab junūñ-ḳhezī merī
roz o shab tauhīn-e-arbāb-e-ḳhirad kartā huuñ maiñ
tauq gardan meñ pahantā huuñ lahū kī dhaar kā
ḳhalq ko hairān 'sājid' zad-ba-zad kartā huuñ maiñ
har kasi ko kab bhala yun mustarad karta hun main
tu hai KHush-qismat agar tujh se hasad karta hun main
bughz bhi sine mein rakhta hun amanat ki tarah
nafraten karne pe aa jaun to had karta hun main
koi apne-ap ko manwane wala bhi to ho
manne mein kab kasi ke radd-o-kad karta hun main
kuchh shuuri satah par kuchh la-shu'uri taur par
kar-e-fikr-o-fan mein ab sab ki madad karta hun main
is liye mujh se KHafa hain ahl-e-gulshan aaj-kal
rang jhuTlata hun KHushbu mustarad karta hun main
mere jazbon se bachao nek-dil logo mujhe
roz o shab in bad-maashon ki madad karta hun main
dusron ke waste likkha hua lagta hai jhuT
apni sachchai ko aksar aap rad karta hun main
rang par aai hui hai ab junun-KHezi meri
roz o shab tauhin-e-arbab-e-KHirad karta hun main
tauq gardan mein pahanta hun lahu ki dhaar ka
KHalq ko hairan 'sajid' zad-ba-zad karta hun main
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 73)
- Author : javaaz jaafrii
- Publication : jang publishar (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.