har Khaar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum
har Khaar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
har ḳhār-o-ḳhas se vaz.a nibhāte rahe haiñ ham
yuuñ zindagī kī aag jalāte rahe haiñ ham
shīrīniyoñ ko zahr ke dāmoñ meñ biich kar
naġhme hayāt-e-nau ke sunāte rahe haiñ ham
is kī to daad degā hamārā koī raqīb
jab sang uThā to sar bhī uThāte rahe haiñ ham
tā dil pe zaḳhm aur na koī nayā lage
apno se apnā haal chhupāte rahe haiñ ham
tere liye hī raat bhar ai mahr-e-zar-nigār
tārīkiyoñ ke naaz uThāte rahe haiñ ham
ab koī taaza phuul khilā ḳhāk-e-pā.emāl!
apnā lahū zamīñ ko pilāte rahe haiñ ham
har KHar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum
yun zindagi ki aag jalate rahe hain hum
shiriniyon ko zahr ke damon mein bich kar
naghme hayat-e-nau ke sunate rahe hain hum
is ki to dad dega hamara koi raqib
jab sang uTha to sar bhi uThate rahe hain hum
ta dil pe zaKHm aur na koi naya lage
apno se apna haal chhupate rahe hain hum
tere liye hi raat bhar ai mahr-e-zar-nigar
tarikiyon ke naz uThate rahe hain hum
ab koi taza phul khila KHak-e-paemal!
apna lahu zamin ko pilate rahe hain hum
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 71)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.