har KHushi gham ki ghaTaon mein chhupi rahti hai
har KHushi gham ki ghaTaon mein chhupi rahti hai
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
har ḳhushī ġham kī ghaTāoñ meñ chhupī rahtī hai
dil kī har aas du'āoñ meñ chhupī rahtī hai
aa ke zālim tū mire dil kī sadā.eñ sun le
aag aahoñ kī sadāoñ meñ chhupī rahtī hai
ye hasīñ log sitamgar bhī haiñ mā'sūm bhī haiñ
teġh to in kī adāoñ meñ chhupī rahtī hai
zindagī ek hasīñ raaz kī majbūrī hai
ye haqīqat to balāoñ meñ chhupī rahtī hai
shukr hai ki mire gulshan meñ ḳhizāñ aa.ī hai
fasl-e-gul bhī to ḳhizāoñ meñ chhupī rahtī hai
is liye jiite haiñ ham 'sāqī' jafā.eñ sah kar
zindagī saarī jafāoñ meñ chhupī rahtī hai
har KHushi gham ki ghaTaon mein chhupi rahti hai
dil ki har aas du'aon mein chhupi rahti hai
aa ke zalim tu mere dil ki sadaen sun le
aag aahon ki sadaon mein chhupi rahti hai
ye hasin log sitamgar bhi hain ma'sum bhi hain
tegh to in ki adaon mein chhupi rahti hai
zindagi ek hasin raaz ki majburi hai
ye haqiqat to balaon mein chhupi rahti hai
shukr hai ki mere gulshan mein KHizan aai hai
fasl-e-gul bhi to KHizaon mein chhupi rahti hai
is liye jite hain hum 'saqi' jafaen sah kar
zindagi sari jafaon mein chhupi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.