har KHushi ho ata aap ke waste
har ḳhushī ho 'atā aap ke vāste
neh barse sadā aap ke vāste
hoñ na kāñTe kabhī raah meñ aap kī
bas yahī hai du'ā aap ke vāste
har qadam pe saphaltā mile 'umr-bhar
rab se hai iltijā aap ke vāste
rah na paa.e koī ranj dil meñ kabhī
har kahīñ ho vafā aap ke vāste
laakh tūfān hoñ naav chaltī rahe
ho sadā nā-ḳhudā aap ke vāste
har ḳhushī aap kī shaḳhsiyat meñ base
har du'ā ho davā aap ke vāste
har KHushi ho 'ata aap ke waste
neh barse sada aap ke waste
hon na kanTe kabhi rah mein aap ki
bas yahi hai du'a aap ke waste
har qadam pe saphalta mile 'umr-bhar
rab se hai iltija aap ke waste
rah na pae koi ranj dil mein kabhi
har kahin ho wafa aap ke waste
lakh tufan hon naw chalti rahe
ho sada na-KHuda aap ke waste
har KHushi aap ki shaKHsiyat mein base
har du'a ho dawa aap ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.