har KHushi ranj-o-gham pe war aae
har ḳhushī ranj-o-ġham pe vaar aa.e
jitne qarze the sab utaar aa.e
khā ke har vaar apne siine pe
rāh-o-rasm-e-vafā sañvār aa.e
kaun dekhe badalte mausam ko
kab ḳhizāñ aa.e kab bahār aa.e
āñkheñ ḳhushiyoñ se bhīgtī haiñ zarūr
jab koī bhūlā ġham-gusār aa.e
zindagānī kā kuchh bharosa nahīñ
kaun jaane kahāñ pukār aa.e
samjho be-kār guzrā māh-e-siyām
nekiyoñ meñ na gar nikhār aa.e
us kī baḳhshish pe zinda haiñ varna
kab gunāhoñ kā kuchh shumār aa.e
aisī kuchh raah ustuvār kareñ
nazr-e-'sādiq' bhī kuchh guzār aa.e
har KHushi ranj-o-gham pe war aae
jitne qarze the sab utar aae
kha ke har war apne sine pe
rah-o-rasm-e-wafa sanwar aae
kaun dekhe badalte mausam ko
kab KHizan aae kab bahaar aae
aankhen KHushiyon se bhigti hain zarur
jab koi bhula gham-gusar aae
zindagani ka kuchh bharosa nahin
kaun jaane kahan pukar aae
samjho be-kar guzra mah-e-siyam
nekiyon mein na gar nikhaar aae
us ki baKHshish pe zinda hain warna
kab gunahon ka kuchh shumar aae
aisi kuchh rah ustuwar karen
nazr-e-'sadiq' bhi kuchh guzar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.