Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har KHushi ranj-o-gham pe war aae

Sadiq Bajwa

har KHushi ranj-o-gham pe war aae

Sadiq Bajwa

MORE BYSadiq Bajwa

    har ḳhushī ranj-o-ġham pe vaar aa.e

    jitne qarze the sab utaar aa.e

    khā ke har vaar apne siine pe

    rāh-o-rasm-e-vafā sañvār aa.e

    kaun dekhe badalte mausam ko

    kab ḳhizāñ aa.e kab bahār aa.e

    āñkheñ ḳhushiyoñ se bhīgtī haiñ zarūr

    jab koī bhūlā ġham-gusār aa.e

    zindagānī kuchh bharosa nahīñ

    kaun jaane kahāñ pukār aa.e

    samjho bekār guzrā māh-e-siyām

    nekiyoñ meñ na gar nikhār aa.e

    us baḳhshish pe zinda haiñ varna

    kab gunāhoñ kuchh shumār aa.e

    aisī kuchh raah ustuvār kareñ

    nazr 'sādiq' bhī kuchh guzār aa.e

    har KHushi ranj-o-gham pe war aae

    jitne qarze the sab utar aae

    kha ke har war apne sine pe

    rah-o-rasm-e-wafa sanwar aae

    kaun dekhe badalte mausam ko

    kab KHizan aae kab bahaar aae

    aankhen KHushiyon se bhigti hain zarur

    jab koi bhula gham-gusar aae

    zindagani ka kuchh bharosa nahin

    kaun jaane kahan pukar aae

    samjho bekar guzra mah-e-siyam

    nekiyon mein na gar nikhaar aae

    us ki baKHshish pe zinda hain warna

    kab gunahon ka kuchh shumar aae

    aisi kuchh rah ustuwar karen

    nazr 'sadiq' bhi kuchh guzar aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now