har KHwab ki jab ulTi tabir nazar aai
har ḳhvāb kī jab ulTī ta.abīr nazar aa.ī
taḳhrīb ke pahlū meñ ta.amīr nazar aa.ī
tanhā.ī meñ jab guzre taḳh.īl kī rāhoñ se
tā-hadd-e-nazar us kī tasvīr nazar aa.ī
us husn-e-mujassam kī ma.asūm nigāhoñ meñ
duniyā-e-mohabbat kī tafsīr nazar aa.ī
is ālam-e-hastī meñ ālām-o-masarrat kī
har shaḳhs ke pairoñ meñ zanjīr nazar aa.ī
jis raah se guzre haiñ har ek nafas ham ko
tadbīr se vābasta taqdīr nazar aa.ī
dil bujhne lagā jab se dhuñdle hue ā.īne
mauhūm zamāne kī tasvīr nazar aa.ī
har KHwab ki jab ulTi tabir nazar aai
taKHrib ke pahlu mein tamir nazar aai
tanhai mein jab guzre taKHil ki rahon se
ta-hadd-e-nazar us ki taswir nazar aai
us husn-e-mujassam ki masum nigahon mein
duniya-e-mohabbat ki tafsir nazar aai
is aalam-e-hasti mein aalam-o-masarrat ki
har shaKHs ke pairon mein zanjir nazar aai
jis rah se guzre hain har ek nafas hum ko
tadbir se wabasta taqdir nazar aai
dil bujhne laga jab se dhundle hue aaine
mauhum zamane ki taswir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.