har kisi ke liye dua karna
har kisī ke liye duā karnā
ḳhuub hotā hai yuuñ shifā karnā
ab mujhe ujlat-e-rihā.ī nahīñ
tum mujhe maar kar rihā karnā
zindagī kyā hai aur kyā hai ajal
tum se milnā tumheñ judā karnā
gar zamīñ par huā to ā.ūñgā
tum galā chhīl kar sadā karnā
log sāhil pe Duub jā.eñge
tum samundar pe iktifā karnā
har kisi ke liye dua karna
KHub hota hai yun shifa karna
ab mujhe ujlat-e-rihai nahin
tum mujhe mar kar riha karna
zindagi kya hai aur kya hai ajal
tum se milna tumhein juda karna
gar zamin par hua to aaunga
tum gala chhil kar sada karna
log sahil pe Dub jaenge
tum samundar pe iktifa karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.