har kisi ke naqsh mein chehra tumhaara DhunDhna
![Ahsan Mahmood Makhdoom Ahsan Mahmood Makhdoom](https://www.rekhta.org/Content/Images/quillm.png)
har kisi ke naqsh mein chehra tumhaara DhunDhna
Ahsan Mahmood Makhdoom
MORE BYAhsan Mahmood Makhdoom
har kisī ke naqsh meñ chehra tumhārā DhūñDhnā
chauñknā kuchh dekh kar aur phir dobāra DhūñDhnā
vo to bādal thā havā kī pairvī meñ be-qadam
jis ne ham se thā kahā rasta hamārā DhūñDhnā
āsmāñ ke dukh utarte haiñ zamīñ par shaam ko
dhuup chehroñ par Dhalegī tab sitāra DhūñDhnā
kyā tasallī kyā talāfī kyā dilāse hijr meñ
jab qazā ḳhvāhish meñ ho to kyā sahārā DhūñDhnā
lauT aaya vo to kyoñ aisā lagā 'ahsan' mujhe
jaise mumkin ho mohabbat kā kināra DhūñDhnā
har kisi ke naqsh mein chehra tumhaara DhunDhna
chaunkna kuchh dekh kar aur phir dobara DhunDhna
wo to baadal tha hawa ki pairwi mein be-qadam
jis ne hum se tha kaha rasta hamara DhunDhna
aasman ke dukh utarte hain zamin par sham ko
dhup chehron par Dhalegi tab sitara DhunDhna
kya tasalli kya talafi kya dilase hijr mein
jab qaza KHwahish mein ho to kya sahaara DhunDhna
lauT aaya wo to kyon aisa laga 'ahsan' mujhe
jaise mumkin ho mohabbat ka kinara DhunDhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.