har kisi mein wafa nahin hoti
har kisī meñ vafā nahīñ hotī
har nazar aa.ina nahīñ hotī
dil vo anmol shai hai duniyā meñ
jis kī qīmat adā nahīñ hotī
niyyatoñ meñ agar ho khoT koī
kār-āmad duā nahīñ hotī
jaarī rahtā hai ye zamāne meñ
zulm kī intihā nahīñ hotī
koī hamdam agar mayassar ho
ziist be-āsrā nahīñ hotī
bas isī baat kā to ronā hai
mujrimoñ ko sazā nahīñ hotī
ye hai merā mushāhida 'zarqā'
har nazar meñ hayā nahīñ hotī
har kisi mein wafa nahin hoti
har nazar aaina nahin hoti
dil wo anmol shai hai duniya mein
jis ki qimat ada nahin hoti
niyyaton mein agar ho khoT koi
kar-amad dua nahin hoti
jari rahta hai ye zamane mein
zulm ki intiha nahin hoti
koi hamdam agar mayassar ho
zist be-asra nahin hoti
bas isi baat ka to rona hai
mujrimon ko saza nahin hoti
ye hai mera mushahida 'zarqa'
har nazar mein haya nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.