har kisi par maut ka saya hua
har kisī par maut kā saaya huā
lag rahā hai shahr ghabrāyā huā
is liye kashkol meñ paḌtī hai bhiik
ham ne hai lāThī se laTkāyā huā
mere chehre par udāsī sabt hai
aur huuñ andar se zaḳhmāyā huā
dostī hai us se us kī shart par
māntā huuñ us kā farmāyā huā
ab nahīñ aa.egā tere jaal meñ
chāñd hai paanī meñ dafnāyā huā
bol saktā huuñ maiñ 'anjum' 'ishq par
maiñ ne bhī ik zaḳhm hai khāyā huā
har kisi par maut ka saya hua
lag raha hai shahr ghabraya hua
is liye kashkol mein paDti hai bhik
hum ne hai laThi se laTkaya hua
mere chehre par udasi sabt hai
aur hun andar se zaKHmaya hua
dosti hai us se us ki shart par
manta hun us ka farmaya hua
ab nahin aaega tere jal mein
chand hai pani mein dafnaya hua
bol sakta hun main 'anjum' 'ishq par
main ne bhi ek zaKHm hai khaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.