har koi hasb-e-taufiq sahra ka manzar banata raha
har koī hasb-e-taufīq sahrā kā manzar banātā rahā
maiñ bhī vahshat ke naqshe ko kamre ke andar banātā rahā
jab talak mere talvoñ pe ik be-niyāzī kī kālak rahī
sang-rezoñ pe eḌī ragaḌ kar maiñ gauhar banātā rahā
us kī sundar laveñ bāliyoñ ke liye jhilmilātī rahīñ
maiñ qalam kī siyāhī se jis ke liye zar banātā rahā
tāj-poshī ko pahle sunahrī parinde ikaTThe kiye
baad meñ sar-burīda shajar ke liye sar banātā rahā
rāt-bhar jaise luTne ke imkān kā Dhol piiTā gayā
koī siiTī bajā kar hamāre liye Dar banātā rahā
jis qadam kī dhamak se sitāroñ ke fānūs jalte rahe
us qadam kā nishāñ chuum kar maiñ bhī manzar banātā rahā
raat bhīgī to bhīgī huī aañkh se 'mīr' paḌhte hue
koī merī kamī ko salīqe se behtar banātā rahā
har koi hasb-e-taufiq sahra ka manzar banata raha
main bhi wahshat ke naqshe ko kamre ke andar banata raha
jab talak mere talwon pe ek be-niyazi ki kalak rahi
sang-rezon pe eDi ragaD kar main gauhar banata raha
us ki sundar lawen baaliyon ke liye jhilmilati rahin
main qalam ki siyahi se jis ke liye zar banata raha
taj-poshi ko pahle sunahri parinde ikaTThe kiye
baad mein sar-burida shajar ke liye sar banata raha
raat-bhar jaise luTne ke imkan ka Dhol piTa gaya
koi siTi baja kar hamare liye Dar banata raha
jis qadam ki dhamak se sitaron ke fanus jalte rahe
us qadam ka nishan chum kar main bhi manzar banata raha
raat bhigi to bhigi hui aankh se 'mir' paDhte hue
koi meri kami ko saliqe se behtar banata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.