har koi kyun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo
har koī kyuuñ chup baiThā hai sāhab jī kuchh to bolo
ḳhāmoshī kā kyā qissa hai sāhab jī kuchh to bolo
aaj qalam kā roza hai kyā yā kāġhaz taqve se hai
qāsid kyuuñ fursat likhtā hai sāhab jī kuchh to bolo
añgnā.ī ke peḌ pe panchhī zikr meñ kyuuñ masrūf nahīñ
ye sannāTā sā kaisā hai sāhab jī kuchh to bolo
majbūrī se muḳhtārī tak duurī se nazdīkī tak
āḳhir ye kaisā parda hai sāhab jī kuchh to bolo
kis kis kā muñh band karoge kis ko kis ko rokoge
burā milan ke beach meñ kyā hai sāhab jī kuchh to bolo
jo darvāza lāchārī ke naam pe mujh par band rahā
kyā ab bhī vo band paḌā hai sāhab jī kuchh to bolo
is duniyā se us duniyā tak rusvā kar dene ke ba.ad
ab logoñ kā kyā kahnā hai sāhab jī kuchh to bolo
kal tak tum ko jaan se pyārā dil kā sahārā lagtā thā
ab 'rahmānī' kyā lagtā hai sāhab jī kuchh to bolo
har koi kyun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo
KHamoshi ka kya qissa hai sahab ji kuchh to bolo
aaj qalam ka roza hai kya ya kaghaz taqwe se hai
qasid kyun fursat likhta hai sahab ji kuchh to bolo
angnai ke peD pe panchhi zikr mein kyun masruf nahin
ye sannaTa sa kaisa hai sahab ji kuchh to bolo
majburi se muKHtari tak duri se nazdiki tak
aaKHir ye kaisa parda hai sahab ji kuchh to bolo
kis kis ka munh band karoge kis ko kis ko rokoge
bura milan ke beach mein kya hai sahab ji kuchh to bolo
jo darwaza lachaari ke nam pe mujh par band raha
kya ab bhi wo band paDa hai sahab ji kuchh to bolo
is duniya se us duniya tak ruswa kar dene ke baad
ab logon ka kya kahna hai sahab ji kuchh to bolo
kal tak tum ko jaan se pyara dil ka sahaara lagta tha
ab 'rahmani' kya lagta hai sahab ji kuchh to bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.