har koi soch mein hai kaise nikale mujhko
har koī soch meñ hai kaise nikāle mujh ko
pastiyoñ se koī neze pe uThā le mujh ko
kitnī sadiyoñ se Darāte haiñ ujāle mujh ko
apne dāman meñ koī raat chhupā le mujh ko
us se sāhil pe taḌapnā mirā dekhā na gayā
mauj ik kar ga.ī tūfāñ ke havāle mujh ko
chand qatroñ se bujhegī na havas kāñToñ kī
liye phirte haiñ 'abas paañv ke chhāle mujh ko
maiñ to bahtā huā paanī huuñ na haath ā.ūñgā
laakh sāhil se tū ā.īna banā le mujh ko
vo shanāvar hai to kyoñ mujh se churātā hai nazar
maiñ samandar huuñ kisī roz khañgāle mujh ko
zehn meñ huuñ maiñ ḳhayāloñ kā dafīna 'shāhid'
muntazir huuñ koī alfāz meñ pā le mujh ko
har koi soch mein hai kaise nikale mujh ko
pastiyon se koi neze pe uTha le mujh ko
kitni sadiyon se Daraate hain ujale mujh ko
apne daman mein koi raat chhupa le mujh ko
us se sahil pe taDapna mera dekha na gaya
mauj ek kar gai tufan ke hawale mujh ko
chand qatron se bujhegi na hawas kanTon ki
liye phirte hain 'abas panw ke chhaale mujh ko
main to bahta hua pani hun na hath aaunga
lakh sahil se tu aaina bana le mujh ko
wo shanawar hai to kyon mujh se churaata hai nazar
main samandar hun kisi roz khangale mujh ko
zehn mein hun main KHayalon ka dafina 'shahid'
muntazir hun koi alfaz mein pa le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.