har lahza makin dil mein teri yaad rahegi
har lahza makin dil mein teri yaad rahegi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
har lahza makīñ dil meñ tirī yaad rahegī
bastī ye ujaḌne pe bhī ābād rahegī
hai hasti-e-āshiq kā bas itnā hī fasāna
barbād thī barbād hai barbād rahegī
hai ishq vo nemat jo ḳharīdī nahīñ jaatī
ye shai hai ḳhudā-dād ḳhudā-dād rahegī
vo aa.e bhī to zabt se lab hil na sakeñge
fariyād mirī tishna-e-fariyād rahegī
ye husn-e-sitam-kosh sitam-kosh hai kab tak
kab tak ye nazar bānī-e-bedād rahegī
vo zulf-e-pareshāñ kā sañvāre na sañvarnā
vo un ke bigaḌne kī adā yaad rahegī
har lahza makin dil mein teri yaad rahegi
basti ye ujaDne pe bhi aabaad rahegi
hai hasti-e-ashiq ka bas itna hi fasana
barbaad thi barbaad hai barbaad rahegi
hai ishq wo nemat jo KHaridi nahin jati
ye shai hai KHuda-dad KHuda-dad rahegi
wo aae bhi to zabt se lab hil na sakenge
fariyaad meri tishna-e-fariyaad rahegi
ye husn-e-sitam-kosh sitam-kosh hai kab tak
kab tak ye nazar bani-e-bedad rahegi
wo zulf-e-pareshan ka sanware na sanwarna
wo un ke bigaDne ki ada yaad rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.