har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai
har lahza mirī ziist mujhe bār-e-garāñ hai
vo merā lahū hai ki mirā dushman-e-jāñ hai
is daur meñ jiine kī sazā kaaT rahā huuñ
har saañs kī raftār meñ ehsās-e-ziyāñ hai
uḌ jaate haiñ shāḳhoñ se sahar hote hī taa.ir
bas rain-baserā hai yahāñ jo bhī makāñ hai
donoñ hī junūñ-ḳhezī ke tūfāñ meñ giraftār
tahzīb-e-ibādat na yahāñ hai na vahāñ hai
rishte sabhī zanjīr-e-zarūrat se juḌe the
ab kaun ye pūchhe ki 'taqī' hai to kahāñ hai
har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai
wo mera lahu hai ki mera dushman-e-jaan hai
is daur mein jine ki saza kaT raha hun
har sans ki raftar mein ehsas-e-ziyan hai
uD jate hain shaKHon se sahar hote hi tair
bas rain-basera hai yahan jo bhi makan hai
donon hi junun-KHezi ke tufan mein giraftar
tahzib-e-ibaadat na yahan hai na wahan hai
rishte sabhi zanjir-e-zarurat se juDe the
ab kaun ye puchhe ki 'taqi' hai to kahan hai
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 19)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.