har lahza tamasha-e-digar dekh rahe hain
har lahza tamāshā-e-digar dekh rahe haiñ
bante hue qatroñ ko guhar dekh rahe haiñ
tanzīm tirī ahl-e-nazar dekh rahe haiñ
kāñToñ meñ numūd-e-gul-e-tar dekh rahe haiñ
chauñkī haiñ abhī niiñd meñ Duubī huī āñkheñ
khulte hue maiḳhāne kā dar dekh rahe haiñ
ab gard-e-kaf-e-pā haiñ dayār-e-mah-o-anjum
qudsī mirī parvāz-e-nazar dekh rahe haiñ
ruḳh chhūTe hue maskan-e-ādam kī taraf hai
aflāk-nashīñ azm-e-bashar dekh rahe haiñ
chhiTkī tire mukhḌe kī hai ye chāñdnī jab se
ham shaam meñ andāz-e-sahar rekh rahe haiñ
allah re tire āriz-e-tābāñ kī tajallī
dekhā nahīñ jaatā hai magar dekh rahe haiñ
ham apne hī qadmoñ kī tajallī kā tamāshā
tā-manzil-e-ḳhurshīd-o-qamar dekh rahe haiñ
kuchh log hue shauq se ḳhud zīnat-e-ātish
kuchh log tamāshā-e-sharar dekh rahe haiñ
hoñToñ pe hañsī aañkh meñ ma.asūm sharārat
nairang-e-adā shām-o-sahar dekh rahe haiñ
allāh-ġhanī husn-e-nazar kā ye karishma
āñkheñ haiñ kidhar aur kidhar dekh rahe haiñ
tāqoñ se gire jaate haiñ asnām-e-ḳhayālī
ham but-shikanī-hā-e-nazar dekh rahe haiñ
ai nabz-e-do-ālam tirī raftār meñ 'safdar'
aaj apne tarānoñ kā asar dekh rahe haiñ
har lahza tamasha-e-digar dekh rahe hain
bante hue qatron ko guhar dekh rahe hain
tanzim teri ahl-e-nazar dekh rahe hain
kanTon mein numud-e-gul-e-tar dekh rahe hain
chaunki hain abhi nind mein Dubi hui aankhen
khulte hue maiKHane ka dar dekh rahe hain
ab gard-e-kaf-e-pa hain dayar-e-mah-o-anjum
qudsi meri parwaz-e-nazar dekh rahe hain
ruKH chhuTe hue maskan-e-adam ki taraf hai
aflak-nashin azm-e-bashar dekh rahe hain
chhiTki tere mukhDe ki hai ye chandni jab se
hum sham mein andaz-e-sahar rekh rahe hain
allah re tere aariz-e-taban ki tajalli
dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain
hum apne hi qadmon ki tajalli ka tamasha
ta-manzil-e-KHurshid-o-qamar dekh rahe hain
kuchh log hue shauq se KHud zinat-e-atish
kuchh log tamasha-e-sharar dekh rahe hain
honTon pe hansi aankh mein masum shararat
nairang-e-ada sham-o-sahar dekh rahe hain
allah-ghani husn-e-nazar ka ye karishma
aankhen hain kidhar aur kidhar dekh rahe hain
taqon se gire jate hain asnam-e-KHayali
hum but-shikani-ha-e-nazar dekh rahe hain
ai nabz-e-do-alam teri raftar mein 'safdar'
aaj apne taranon ka asar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.