har lamha bahr-e-waqt ki tughyaniyon mein hun
har lamha bahr-e-vaqt kī tuġhyāniyoñ meñ huuñ
Thahrūñ kahāñ ki bahte hue pāniyoñ meñ huuñ
bikhrā huā huuñ TuuTe hue ḳhvāb kī tarah
dekhā gayā huuñ jab se pareshāniyoñ meñ huuñ
hālāt kī salīb pe laTkā huā huuñ maiñ
masrūf apne aap kī qurbāniyoñ meñ huuñ
ye qaid Tuut jaa.e to shāyad sukūñ mile
maiñ apne hī vajūd ke zindāniyoñ meñ huuñ
ab zaḳhm zaḳhm hai mire ehsās kā badan
shīsha huuñ pattharoñ kī nigahbāniyoñ meñ huuñ
ābād mujh se hai mire ḳhvāboñ kī kā.enāt
maiñ vus’at-e-ḳhayāl kī vīrāniyoñ meñ huuñ
kyā ḳhush-libās log haiñ shahr-e-libās meñ
mahsūs ho rahā hai ki ‘uryāniyoñ meñ huuñ
ai 'badr' soz-e-ġham kā ujālā hai har taraf
maiñ zulmatoñ meñ rah ke bhī tābāniyoñ meñ huuñ
har lamha bahr-e-waqt ki tughyaniyon mein hun
Thahrun kahan ki bahte hue paniyon mein hun
bikhra hua hun TuTe hue KHwab ki tarah
dekha gaya hun jab se pareshaniyon mein hun
haalat ki salib pe laTka hua hun main
masruf apne aap ki qurbaniyon mein hun
ye qaid Tut jae to shayad sukun mile
main apne hi wajud ke zindaniyon mein hun
ab zaKHm zaKHm hai mere ehsas ka badan
shisha hun pattharon ki nigahbaniyon mein hun
aabaad mujh se hai mere KHwabon ki kaenat
main wus’at-e-KHayal ki viraniyon mein hun
kya KHush-libas log hain shahr-e-libas mein
mahsus ho raha hai ki ‘uryaniyon mein hun
ai 'badr' soz-e-gham ka ujala hai har taraf
main zulmaton mein rah ke bhi tabaniyon mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.