har lamha be-sharm sawali lagta hai
har lamha be-sharm savālī lagtā hai
jiinā ab to maañ kī gaalī lagtā hai
jab se peT pe paañv rakhā hai duniyā ne
ham ko dil kā dard ḳhayālī lagtā hai
dafn hai dil ke saath na jaane kyā kyā kuchh
siina lekin ḳhālī ḳhālī lagtā hai
aks-e-aks hai ā.īna-dar-ā.īna
phir bhī yahāñ har shaḳhs misālī lagtā hai
ab vo aalam ham pe nahīñ aane vaalā
sūkhā dasht bhī jab hariyālī lagtā hai
āḳhir-āḳhir hāsil-e-jāñ o hāsil-e-dil
bas pāmālī hī pāmālī lagtā hai
har lamha be-sharm sawali lagta hai
jina ab to man ki gali lagta hai
jab se peT pe panw rakha hai duniya ne
hum ko dil ka dard KHayali lagta hai
dafn hai dil ke sath na jaane kya kya kuchh
sina lekin KHali KHali lagta hai
aks-e-aks hai aaina-dar-aina
phir bhi yahan har shaKHs misali lagta hai
ab wo aalam hum pe nahin aane wala
sukha dasht bhi jab hariyali lagta hai
aaKHir-aKHir hasil-e-jaan o hasil-e-dil
bas pamali hi pamali lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.