har lamha chand chand nikharna paDa mujhe
har lamha chāñd chāñd nikharnā paḌā mujhe
milnā thā is liye bhī sañvarnā paḌā mujhe
aamad pe us kī phuul kī sūrat tamām raat
ek us kī rahguzar pe bikharnā paḌā mujhe
kaisī ye zindagī ne lagā.ī ajiib shart
jiine kī aarzū liye marnā paḌā mujhe
vaise to merī rāhoñ meñ paḌte the mai-kade
vaa.iz tirī nigāh se Darnā paḌā mujhe
ā.īna TuuT TuuT ke mujh meñ samā gayā
aur reza reza ho ke bikharnā paḌā mujhe
har lamha chand chand nikharna paDa mujhe
milna tha is liye bhi sanwarna paDa mujhe
aamad pe us ki phul ki surat tamam raat
ek us ki rahguzar pe bikharna paDa mujhe
kaisi ye zindagi ne lagai ajib shart
jine ki aarzu liye marna paDa mujhe
waise to meri rahon mein paDte the mai-kade
waiz teri nigah se Darna paDa mujhe
aaina TuT TuT ke mujh mein sama gaya
aur reza reza ho ke bikharna paDa mujhe
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 647)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.